Thursday 20 October 2016

Reliance jio 4G internet speed kaise badaye

Hiii friends to day main aapko batunga ki Reliance jio internet 4G speed kaise badaye.aajkal jio sim market me aane ke baad sabi jio sim hi use kar rahe hai. Maine to jio sim launch hui uske 2-3 din baad hi phone le aaya tha tab maine dekha tha internet speed to vo internet speed thi 25-30 Mbps per second lekin aaj main jab bi internet speed check karta hu to ye speed sirf 2 Mbps ki ho gayi hai or mujhe lagta hai ki november kw end rak to sayyad page hi open nahi honge. To speed badane ke liye maine google par seach kiya you tube videos bi dekhi or bahut se logo se bi baat ki lekin jayada kuch speed par farak nahi pada to maine khud apni marji se try kiya 2-3 tries fail bi hue lekin fir ek try mera succesfull ho gaya hai. Or vo try hi aaj main tumhe bata raha hu . Agar aapke paas bi reliance jio sim hai to aap bi sochte honge ki speed kaise badau.maine bi bahut sicha tha lekin jab maine kosis ki tab jaa kar ye kaam ho paya hai.Agar aap bi apne jio sim ki speed increase karna chahte hai to meri is aeticle me kuch batayi hui kuch steps ko follow jarur kare.4G speed humare LTE bands par depend karta hai jitna accha LTE band hoga utani hi acchi speed aayegi internet ko humare smart phones me.

Reliance jio 4g internet speed kaise badaye


Isliye hume acchi LTE bands vala phone lena chaiye LTE bands humare signal or area par bi depend rahte hai.jaise ki urban population jayada rahati hai to sure baat hai ki users bi jayada rahenge isliye vaha par LTE band kam hoga or jaha par kam users honge vaha par LTE band high hoga.to is tarah se kuch humare speed ka distributuon ho rakha hai. Agar aapke smart phones ka LTE bands high cacthers honge to aapki speed automatically hi increase rahegi.Agar aapke paas kisis acchi company ka phone hai or aapke dost ke paas low quality company ka phone hai to aap dono ki speed compare or speed check kar sakte ho. In my case meri downloading speed 2-5 Mbps tak rahti hai lekin jab maine starting me is use kiya tha to maine speed tester se speed test ki thi tab lagbag mujhe 25-30Mbps speed tak record ki thi.

Speed kam hone ka kya karan hai :- 


Aapko bata du ki speed decrease hone ka sabse bada karan ye hai ki reliance jio ke users matlab ki jayada logo ka use karna jio site information ke hisab se ab tak jio nem 1.6 million sim sell ki hai yaani 1 crore,60lakhs sim bech chuki hai relaince jio. To aap andaja laga sakte hai ki jio ke kitne users hai.or day by day users increase hi ho rahe hai. Isi karan se jio ki speed decrease hoti ja rahi hai.

Reliance jio ki speed kaise badaye :-
Yaha par main aapko 2-3 tarike batunga jo aap jarur try kare. Maine bi inhe try kiya hai or apni internet speed ko increase kiya hai.

1 :- sabse pahli hai Apn change karna. Sabi users same apn use kar rahe hai iske karan bi speed decrease ho sakti hai isliye hume Apn change karna hoga.

Apna change karne ki steps :-


Step 1 :- sabse pahle phone setting me jaye.

Step 2:-  ab sim card managment me jaye.

Step 3 :- Access point name par click kare or vaha par aapko kuch settings change karni hongi vo aap dhyan se niche dekhe le.

Name :- Hindi trip
APN :- JIO NET
Proxy :- not set
Port :- not set
Username :- not set
Password :- not set
Server :- www.google.com
MMSC :- not set
Mms proxy :- not set
MMS port :- not set
MCC :- 405
MNC :- 868,856,878,805
Apn proticol :- ipv4/IPV6
Bearer :- LTE

Yaha par not set ka matal hai ki unme kuch nahi karna hai. Unhe change nam kare varna aapki sim block bi ho sakti hai.

Trick 2 :-

Use VPN {virtual private network}

Vpn ka use karna bi badiya tarika hai speed ko increasec karne ka agar aap kisi acche VPN ka use karte hai to aap 10-15 Mbps ki speed bi paa sakte ho. Lekin is time me accha VPN lene ke liye hume pro ya premium version buy karna padta hai jo ki paid version hota hai. To aap koi bi VPN use karne se pahle uske baare me ya uski term and conditions ko jarur padh le.
In my case main snap VPN use karta hu.

How to use VPN to increase speed :-


Step 1:- sabse pahle aap download snap VPN karo snap VPN download link yaha se aap snap VPN download karo ya fir play store se bi kar sakte hai.

Step 2 :- snap VPN install hone ke baad open kare fir aap kuch free servers ki list milegi aap unme se koi acchi strength vale se connect karo.agar kisi bi server me acchi strenght na ho to aap india ke server k
Step 3 :- connect hote hi aap apni speed check kar sakte hai. Ho sake to aap uc mini ka use kare qyuki is time me uc mini bahut high speed de raha hai snap VPN ke saath milkar.

5 responsive blogger templates

Trick 3 :- 

Cached data :- 

Chached data bi jayada hine ke karan se aapki jio ki speed kam ho sakti hai iske liye aapko time to time chached data ko clear karte rahna jaruri hai. Chahed data vo hota hai jab hum kisi bi site se koi bi infomation lete hai to us site ka kuch part chached data me add ho jata hai os chached data jayada hone se speed me decreament aajata hai.
Chached data ko clear kaise kare.

Step 1 :- phone setting me jaye.

Step 2 :- storage option par click kare ya select kare.

Step 3 :- chached data naam hoga us par click karte hi aapko ek pop up milga usme cancel or ok rahega to ok par click kar de.

Relaince jio speed increasement

Dosto is post me batayi hui trick ko dhtan se follow kare agar aapke samjh nahi aaraha hi to aap apni problem ko comment box me likh kar comment kar de main aapki help jarur karunga or agar aap in batayi hui tip ko dhyan se follow karenge to aapki jio ki speed jarur increase hogi.

No comments:

Post a Comment

hello friends this is comment Policy