Friday 26 August 2016

mobiles ko hang hone se kaise bachaye


Android mobile ko hang hone se kaise bachaye hindi me jaane:-

Dosto agar aapke paas android phone hai bahut si baar hume hanging(laging) problem ka samna bi karna pad jata hai.agar aapka phone bi hange hota hai to ye post aapke liye aap is post ko padh kar apne phone ko hang hone se bacha sakte hai. Is post me aapko kuch steps batayi jayengi aap un steps ko follow karke apne Android ya smartphone ko hange hone se bacha sakte hai.is post me bataye jane vali tips me aapko bahut hi kam samay lagega.

android-phones-ko-hang-hone-se-kaise-bachaye


Kabhi labhi humare android phone gamesa ya heavy (बड़ी) file chala lete hai to humara phone ya to us file ko open karne me thoda time le leta hai ya fir hang ho jata hai ya fir apne aap hi reboot hone lagta hai to aapko bahut hi nirasha hoti hogi tab aapka smart phone hang hota hai tab.isse bachne ke bhaut se upay hai kuch tarike m aapko is post ki madad se aapko batunga aap unhe follow karke apne samrt phone ko hang hone se bacha sakte hai.

mobile balance kaise transfer karte hai dusre number par

1 :- Phone hang hone ka sabse bada karan hota hai ki uski RAM ya CAPACITY bahut kam hoti hai or hum  phone me bahut se  apps install kar lete hai or apks,videos,photos,audios, daal lete hai jisse hi phone ke system in sab ka load nahi utha sakte hai isse humara phone slow hone lagta hai ya fir hang hona suru ho jata hai to sabse phle aap apne phone ki capacity ke anusar hi apne phone me apps install kare.

whats app ki 20 tricks jo aapko nahi pata hai


2 :- Dusra karan ye hota hai ki agar aap apne phone me koi bi cleaning or antiviru use karte ho vo bi aapke phone system ko propery work nahi karne dete hai. Isliye aap apne phone me cleaning or antivirus apps ko jitna ho sake utna kam use kare. Mere hisab se to aap apne phone me cleaning or antivirus apps 1-2 se jayada use na kare.

facebook id card kaise banate hai.

3 :-  Agar aap apne phone me high quality apps use karte hai to in apps se bi aapka phone hang ho sakta hai. Qki ye apps aapke ki phone memory ko bahut jayad use karte hai.
Jaise kuch apps ke naam :- google chrome,safari,Mozilla Firefox, uc browser. In sab aaps se bi aapka phone bi hang ho sakta hai.

wifi hack kaise karte hai android phone se 2 mint me
4 :- Agar aapke phone ke unwanted apps hai to aap unhe bi uninstall kar sakte hai.jaise ki agar aapko koi bi apps kabi bi use nahi karte hai or vo apps aapme install kar rakhe hai to bi aapka phone hang ho sakta hai to aap unhe bi uninstall kar de isse aapki phone memory thodi increase hogi or phone memory bi free rahegi isse aap acche se apps ko open kar sakte hai bina jayda loading ke.

whats app group invite link kaise banate hai.

5 :- multitasking :- Agar aap koi bi heavy file use karte hai to phle app apne recent apps ko close karke try karo isse apps loading time bahut hi kam hoga or aap acche se apps ko open kar payenge. Or aapka phone hang hone se safe bi rahega.

Feedburner me e mail delivery time kaise change karte hai.

6 :- Agar aapke phone me already installed apps jayada hai to aap unhe force stop ya fir disable kar de isse bi phone memory free hogi or aap apne phone ko chalane me better feel karenge.bahut se apps already installed hote hai jinhe aap uninstall nahi kar sakte hai to unko aap disable kar sakte hai.disable karne ki kuch steps ko follow kare:-

Step 1 :-phone setting>>apps setting>>jis app ko disable karna hai use select kare.

Step 2 :- us apps ko selct karte hi aapke paas options aayenge un me se  force stop, disable, clear data hone disable par click karke.

Template kaise change karte hai blog me.

7 :- jo apps aap use karte hai unhe time to time clean karte rahe.yani jo aaps aap use karte hai unki memory increase hoti jati hai dheere-dheere to unhe bi aap time to time apps ko clean karte rahe.

8 :- Agar aapka phone jayada hang hone lag jaye to aap apne pc se phone ko connect karke 1-2 baar antivirus se clean kar le jisse ki aapke phine me aaye hue viruses,junk files etc remove ho jaye or aapka phine refresh hota rahe time to time.

Free me domain kaise kharide.

9:- Agar aap apne smart phone men internet ka use karte hai to aap agar kabhi bi net ya data on karte hai to uske kuch time tak koi bi apps ko open na kare qki jab aap apne phone ka data use karte ho to bahut se apps hai jo auto start (apne app hi run hone start ho jate hai). Agar aap data on karte hi koi bi apps open karte ho to aapka phone thoda time lega apps ko open karne me ialiye data on karne ke kuch time baad tak apps ko open na kare isse bi aapka phone hang hona kam ho sakta hai.

10:- Aap Apne Phone Me Internal Storage Ka Ho Sake To Kam Se Kam Hi Use Kare.Agar aapke phone ki intenal storage 4 GB hai to aap usme se sirf 50% hi use kare ho sake to aaps or phone ke sare data external storage (sd card)me hi store kare.apni phone memory ko blank hi rakhe isse aapke phine me thoda space bana rahega or aapke phone ke hang hone ke chances bahut kam ho jayenge.

11 :-  3-4 days me apne phone ko switch off or switch on jarur kare.isse bahut se app jo automatic open ho jate hai vo app time to time stop hote rahengi or phone me space bi bana rahega.

12 :- Agar Koi Bi Apps Ko Install Karte Hai To Phle Apne Phone Ko Switch Off Karke On Jarur kare Isse Aapke Phone Me Thoda Space Increase Ho Jayega.

13 :- Agar Koi Bi Apps Open Karte Hai To Us Par Baar Baar Click Na Kare Qki Aisa Apps Open Karne Se Appka Phone Hang Ho Jayega  Ya fir Apps Loading Time Or Bi Jayad Increse Ho Jayega.

14 :- Agar Aapke Phone Ki Memory Kam Hai to Aap High Grapics Vale Apps Ko Install Na Kare. Jaise :-Facebook,Whats app, messenger or Games.

15 :- Agar Aapke Phone Ki Memory Kam Hai To Aap Apne Phone Me  Games Install Na kare.Qki games ke Grapics Bahut High Hote Hai Or Aapke Phone ki Memory Bahut Kam Hai Isliye Aapka Phone Hang Ho Sakta Hai.

Dosto Agar Aapko Humara Ye Post Pasand Aaya Hai to aap hume comment karke jarur bataye hume bahut hi khusi hogi agar aapko is post se related koi bi saval hai to aap ent jarur kare hume bahut khusi hogi.

No comments:

Post a Comment

hello friends this is comment Policy