Sunday 28 August 2016

youtube par account kaise banate hai

You tube par account kaise banate hai:-

Dosto aaj m aapko batunga ki you tube par account kaise banate hai.
Hum sab ko pata hai ki sabse jayada videos youtube par hi hai dosto aap sabi ko pata hoga ki you tube videos ka sabse largest network hai.you tube ko sabse phle 2003, me banaya gaya tha fir you tube ko google me kharid liya tha.or ab tak google hi youtube par work kar raha hai.you tube aaj duniya ka sabse no. 1 video sharing website ban chuka hai or duniya ka sabse bada dusra  search engine bi ban chuka hai.you tube india me hi nahi blki sabi jagah par hi popular hai.you tube par har din lakho video upload hoti hai.or bahut se logo ne you tube se bahut hi jayad paisa kamaya hai. Agar aap bi you tube se paisa kamana. Chahte hai to phle aapko you tune par account banana padega m aapko step by step batunga ki you tube par accoung kaise banate hai.

you tube se paisa kaise kamate hai.

You tube kya hai :-

Dosto you tube ke naam se hi pata chal raha hai ki you tube kya hai. You tube ek medium hai jo aapki soch ko logo tak pahunchane ka bahut se log you tube par songs upload karte hai or unse accha paisa bi kamate hai.

you-tube-par-account-kaise-banate-hai-hindi-me


You tube par aap apne baare me bi ek video bana kar share kar sakte ho.isse logo ko aapke baare me pata chalega.kuch log you tube par apni sweet memories bi share karte hai or kuch log apne banaye hue turtioll bi share karte hai jisse ki logo ki help ko ja sakti hai. You tube bi ek parkar ki social site hi hai jisparkar , facebook, twitter, Instagram etc hai usi parkar you tube bi ek social site hai. Lekin you tube par aap apne expression post ke through nahi kar sakte hai apne expresaion logo ko batane ke liye aapko ek video bana kar upload karna padta hai jisse ki aap apme expressions ko logo ke samne share kar sakte hai.

फेसबुक का id कार्ड कैसे बनाते है।

You tube ki shuruvaat 3 dosto ne mil kar ki thi unke naam the ,chad hurely, steve chen,javed karim ne banaya tha you tube ko or you tube par phli video share ki thi you tube ke co - founder javed karim ne 'me at the joo' naam se phli video upload hui thi you tube par. Ye 3no phle PayPal ke liye kaam karte the fir baad me unhone you tube banaya tha or fir you tube ko google ne kharid kar apne saath shamil kar liya tha or ab google hi you tube par work kar raha hai.

Dosto you tube par account banana bahut hi simple or bilkul free hai. You tube par aap bilkul free me account bana sakte hai or apne expresaion videos ke through express kar sakte hai.

You tube par account banane ke liye kya kya chaiye :-

How to make you tube account

Dosto you tube ek google service hai to ye bahut hi simple hai aapko sirf apne browser me apni g mail id ko open karna hai.

You tube par account kaise banate hai :-

Dosto sabse pahle www.youtube.com you tube officially website par jaye link par click karke aapko right side corner me sign in naam milega vaha par click kare.

how-to-make-you-tube-account


फ्री में डोमेन domain कैसे ख़रीदे ब्लॉग के लिए
Step 2 :- sign in par click karte hi aap login page par chale jayenge vaha par aapko apne g mail id open karni hai.

you-tube-par-account-kaise-banate-hai


कंप्यूटर/pc में android apps कैसे चलाये
Step 3 :- yaha par aapko apni g mail id or password dalkar Sign in lar click karna hai.

Step 4 :- sign in lar click karte hi you tube par aapka account ban jayega. Jo bi aapki g mail account ka user name rahega vo aapki you tube ka user name rahega jaise  aapki g mail id is parkar hai :- deepkaksiya@gmail.com
To aapka user name deep kaksiya hi rahega.

images को seo friendly कैसे बनाये।

To dosto aapne is article se ye sikha hai ki you tube par account kaose banate hai.Avar aapko ye post pasand  aaya hai to aap hume comment karke jarur bataye hume bahut khusi.
Aise hi kuch daily new updates ke liyed niche apne e mail dalkar humare blog ko follow kare.



IS POST KO APNE DOSTO KE SAATH SHARE KARE :-

No comments:

Post a Comment

hello friends this is comment Policy